Aaj phir dard- E- aatish ne is dil ko jalaya hai,aaj phir wo guzra zamana yaad aaya hai,
Jisne dee apni saanso ki maheki hawaye mujhe,wo humdum wo aashna yaad aaya hai.
Ye raatein ye lamhe mujhe sone nahi dete, chahu jo rona to ye abssaar rone nahi dete,
Chahta hu k har shab tujhe khwabo me dekhu, ye aftaab khwabon me khone nahi dete.
Aasmani chaman me sitaron ke phool khile hai, Badr ne phir chandni ki barsaat ki hai,
Kyu mit ta nahi is dilka andhera, ik charaag k liye bar-2 humne aftaab se fariyad ki hai
Socha bhula du un sab yaadon ko jinse dil tadapta hai, koi tees uthti hai ek dard hota hai,
Magar jab raat aati hai teri yaad saath lati hai, tere hi khwab hote hai, teri hi baat aati hai.
Teri yaado K bina ek lamha b to guzara nahi,koi pal nhi aisa jab is dil ne tujhe pukara nahi,
Tere bin kuch yu kat rahi hai zindagi,kashti b hai,mohazzin b hai par door talak Kinara nahi.
Aakhon me rahta hai tu mere dil me basta hai,Khwab banke roj meri Neendo me sajta hai,
Ab to har khwab b fariyaad karta hai,ek bar to dekhe wo chehra jo inn palko me basta hai.
By:
Uttam Sharma
No comments:
Post a Comment